dil ke zaKHmon ka kisi se na mudawa hoga
dil ke zaḳhmoñ kā kisī se na mudāvā hogā
ġham hī qātil hai mirā ġham hī masīhā hogā
apne baare meñ koī raa.e na leñ mujh se huzūr
aap ke vāste sach niim sā kaḌvā hogā
jal rahā huuñ to kisī ko bhī nahīñ fikr mirī
raakh ban jā.ūñgā jis din mirā charchā hogā
merā vo haal ki samjhe hai tamāshā duniyā
dekh lo yaaro na roz aisā tamāshā hogā
yuuñ hī aa.egī na ash.ār meñ tāsīr 'shujā'
rūh-e-taḳhlīq meñ lafzoñ ko samonā hogā
dil ke zaKHmon ka kisi se na mudawa hoga
gham hi qatil hai mera gham hi masiha hoga
apne bare mein koi rae na len mujh se huzur
aap ke waste sach nim sa kaDwa hoga
jal raha hun to kisi ko bhi nahin fikr meri
rakh ban jaunga jis din mera charcha hoga
mera wo haal ki samjhe hai tamasha duniya
dekh lo yaro na roz aisa tamasha hoga
yun hi aaegi na ashaar mein tasir 'shuja'
ruh-e-taKHliq mein lafzon ko samona hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.