Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke zaKHmon ki lawen aur ubhaaro logo

Shahid Ahmad Shoaib

dil ke zaKHmon ki lawen aur ubhaaro logo

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    dil ke zaḳhmoñ laveñ aur ubhāro logo

    aaj raat kisī tarah guzāro logo

    ruuTh kar zindagī kyā jaane kidhar jaane lagī

    is tarah dauḌo zarā us ko pukāro logo

    kitnī saj-dhaj hai nigār-e-ġham-o-ālam aaj

    is shoḳhī ko zarā aur nikhāro logo

    sarḳhushī ab bhī tamāshā.ī hai maiḳhāne meñ

    is sitamgar ko to shīshe meñ utāro logo

    shahr-e-dil meñ ye ghaTā-Top añdherā kyuuñ hai

    phir kisī chāñd sūrat ko pukāro logo

    sham-e-ehsās bujhā kar haiñ sar-e-arsh-e-barīñ

    is bulandī se hameñ tum na utāro logo

    lo 'sho.eb' aa gayā qāfila-e-dard ke saath

    jān-o-dil tum bhī kahīñ aaj na haaro logo

    dil ke zaKHmon ki lawen aur ubhaaro logo

    aaj ki raat kisi tarah guzaro logo

    ruTh kar zindagi kya jaane kidhar jaane lagi

    is tarah dauDo zara us ko pukaro logo

    kitni saj-dhaj hai nigar-e-gham-o-alam ki aaj

    is ki shoKHi ko zara aur nikhaaro logo

    sarKHushi ab bhi tamashai hai maiKHane mein

    is sitamgar ko to shishe mein utaro logo

    shahr-e-dil mein ye ghaTa-Top andhera kyun hai

    phir kisi chand si surat ko pukaro logo

    sham-e-ehsas bujha kar hain sar-e-arsh-e-barin

    is bulandi se hamein tum na utaro logo

    lo 'shoeb' aa hi gaya qafila-e-dard ke sath

    jaan-o-dil tum bhi kahin aaj na haaro logo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now