dil ke zaKHmon ko zamane se chhupane ke liye
dil ke zaḳhmoñ ko zamāne se chhupāne ke liye
hañsnā paḌtā hai yahāñ sab ko dikhāne ke liye
kab se baiThe haiñ mirī aañkh kī añgnā.ī meñ
ḳhvāb bachchoñ kī tarah shor machāne ke liye
apne dīdār kā sharbat to pilā de ham ko
ham to aa.e haiñ tire shahr se jaane ke liye
mere ash'ār hī daulat ye ḳhazāna hai merā
DhūñDhtā rahtā huuñ kuchh saañp ḳhazāne ke liye
rauñdne ke liye tayyār haiñ saare apne
koī raazī hī nahīñ mujh ko uThāne ke liye
tajrabe apne kahāñ tak likheñ 'rāhī' ham bhī
ab to misra' bhī nahīñ koī uThāne ke liye
dil ke zaKHmon ko zamane se chhupane ke liye
hansna paDta hai yahan sab ko dikhane ke liye
kab se baiThe hain meri aankh ki angnai mein
KHwab bachchon ki tarah shor machane ke liye
apne didar ka sharbat to pila de hum ko
hum to aae hain tere shahr se jaane ke liye
mere ash'ar hi daulat ye KHazana hai mera
DhunDhta rahta hun kuchh sanp KHazane ke liye
raundne ke liye tayyar hain sare apne
koi raazi hi nahin mujh ko uThane ke liye
tajrabe apne kahan tak likhen 'rahi' hum bhi
ab to misra' bhi nahin koi uThane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.