dil ke zaKHmon se chaman mein shor barpa kar diya
dil ke zaḳhmoñ se chaman meñ shor barpā kar diyā
maiñ ne phūloñ meñ hañsī kā terī charchā kar diyā
apnī vahshat apnī badnāmī kā mujh ko ġham nahīñ
us kā ronā hai ki maiñ ne tujh ko rusvā kar diyā
phir marīz-e-ġham na bolā dekh kar zālim tujhe
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ ye kyā kah diyā kyā kar diyā
sāmne tum aa ga.e maiñ dil pakaḌ kar rah gayā
merī qismat se davā ne dard paidā kar diyā
haa.e ab koī Thikānā ārzūoñ kā nahīñ
dil kī bastī luuT lī zālim ne ye kyā kar diyā
chāñdnī kā raat ik dariyā banāyā maah ne
motiyoñ se maiñ ne par ro-ro ke dariyā kar diyā
merī mayyat par vo aayā sab hue mahv-e-jamāl
maut ko bhī merī zālim ne tamāshā kar diyā
ab shuā-e-husn-e-pur-anvār hai nazzāra soz
terī is be-pardagī ne ḳhud hī parda kar diyā
dasht-gardī kī badaulat chaar tinke chun liye
āshiyāñ kā merī vahshat ne sahārā kar diyā
kyā sadā thī sunñe vaale dil pakaḌ kar rah ga.e
tere nāloñ ne to 'afsar' hashr barpā kar diyā
dil ke zaKHmon se chaman mein shor barpa kar diya
main ne phulon mein hansi ka teri charcha kar diya
apni wahshat apni badnami ka mujh ko gham nahin
us ka rona hai ki main ne tujh ko ruswa kar diya
phir mariz-e-gham na bola dekh kar zalim tujhe
aankhon hi aankhon mein ye kya kah diya kya kar diya
samne tum aa gae main dil pakaD kar rah gaya
meri qismat se dawa ne dard paida kar diya
hae ab koi Thikana aarzuon ka nahin
dil ki basti luT li zalim ne ye kya kar diya
chandni ka raat ek dariya banaya mah ne
motiyon se main ne par ro-ro ke dariya kar diya
meri mayyat par wo aaya sab hue mahw-e-jamal
maut ko bhi meri zalim ne tamasha kar diya
ab shua-e-husn-e-pur-anwar hai nazzara soz
teri is be-pardagi ne KHud hi parda kar diya
dasht-gardi ki badaulat chaar tinke chun liye
aashiyan ka meri wahshat ne sahaara kar diya
kya sada thi sunne wale dil pakaD kar rah gae
tere nalon ne to 'afsar' hashr barpa kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.