dil KHugar-e-tapish na ho dard-ashna na ho
dil ḳhūgar-e-tapish na ho dard-āshnā na ho
ab mudda.ā ye hai ki koī mudda.ā na ho
jhuktī hai bahr-e-sajda jabīn-e-niyāz kyoñ
hairat se dekhtā huuñ tirā naqsh-e-pā na ho
rañgīniyāñ jarāhat-e-dil kī na dekhiye
merī tarah bhī koī shahīd-e-jafā na ho
aisī kabhī bahār meñ rañgīniyāñ na thiiñ
shāyad kisī kā ḳhūn-e-tamannā milā na ho
dushvār hai ki tai hoñ mohabbat kī manzileñ
jab tak ki ḳhud hī jazba-e-dil rahnumā na ho
dil KHugar-e-tapish na ho dard-ashna na ho
ab muddaa ye hai ki koi muddaa na ho
jhukti hai bahr-e-sajda jabin-e-niyaz kyon
hairat se dekhta hun tera naqsh-e-pa na ho
ranginiyan jarahat-e-dil ki na dekhiye
meri tarah bhi koi shahid-e-jafa na ho
aisi kabhi bahaar mein ranginiyan na thin
shayad kisi ka KHun-e-tamanna mila na ho
dushwar hai ki tai hon mohabbat ki manzilen
jab tak ki KHud hi jazba-e-dil rahnuma na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.