dil ki aah-e-na-rasa su-e-falak jati hai kab
dil kī āh-e-nā-rasā sū-e-falak jaatī hai kab
ḳhvāhisheñ kitnī bhī puurī hoñ lalak jaatī hai kab
hai shikasta dil agar nādāñ to is kā ġham na kar
TuuT jaane par bhī motī kī Dalak jaatī hai kab
miT ga.e haiñ ishq meñ har chiiz hai faanī magar
baad murjhāne ke phūloñ kī mahak jaatī hai kab
gar zamāne ne satāyā hai to koī ġham nahīñ
baaġh meñ pāmāl ġhunchoñ kī chaTak jaatī hai kab
hai zabāñ par qufl kah saktā nahīñ tū hāl-e-dil
hoñT siine se anādil kī chahak jaatī hai kab
sabr kar mazlūm kā koī ziyāñ hotā nahīñ
kāTiye jitnā bhī hiire kī damak jaatī hai kab
jal rahā hai tū agar hālāt kī bhaTTī meñ aaj
aag meñ jalne se sone kī chamak jaatī hai kab
zulm ke bār-e-garāñ se dab na jā phir uTh ke baiTh
sar kuchal dene se sabze kī lahak jaatī hai kab
nā-musā'id haiñ agar hālāt un se jang kar
bādaloñ meñ ghir ke bijlī kī kaḌak jaatī hai kab
va.ada-e-fardā pe un ke aaj bhī īmān hai
maan lene se magar dil kī dhaḌak jaatī hai kab
dil ki aah-e-na-rasa su-e-falak jati hai kab
KHwahishen kitni bhi puri hon lalak jati hai kab
hai shikasta dil agar nadan to is ka gham na kar
TuT jaane par bhi moti ki Dalak jati hai kab
miT gae hain ishq mein har chiz hai fani magar
baad murjhane ke phulon ki mahak jati hai kab
gar zamane ne sataya hai to koi gham nahin
bagh mein pamal ghunchon ki chaTak jati hai kab
hai zaban par qufl kah sakta nahin tu haal-e-dil
honT sine se anadil ki chahak jati hai kab
sabr kar mazlum ka koi ziyan hota nahin
kaTiye jitna bhi hire ki damak jati hai kab
jal raha hai tu agar haalat ki bhaTTi mein aaj
aag mein jalne se sone ki chamak jati hai kab
zulm ke bar-e-garan se dab na ja phir uTh ke baiTh
sar kuchal dene se sabze ki lahak jati hai kab
na-musa'id hain agar haalat un se jang kar
baadalon mein ghir ke bijli ki kaDak jati hai kab
wada-e-farda pe un ke aaj bhi iman hai
man lene se magar dil ki dhaDak jati hai kab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.