dil ki aawaz hai yun bang-e-dara ho jaise
dil kī āvāz hai yuuñ bāñg-e-darā ho jaise
is kī sunte haiñ yahī rāh-numā ho jaise
mast āñkhoñ pe jhukī paḌtī hai yuuñ zulf-e-siyāh
sar-e-mai-ḳhāna dhuāñ-dhār ghaTā ho jaise
ham ko da.avā-e-anal-haq to nahīñ hai lekin
aisā lagtā hai ye ham ne hī kahā ho jaise
jiye jaate haiñ magar jiine kā hāsil kyā hai
zindagī bhī kisī āshiq kī duā ho jaise
vāsta jin ko ḳhudā se hai ḳhudā ko jāneñ
apne but kā to ye aalam hai ḳhudā ho jaise
dīn-o-dil rehn-e-vafā kar ke 'zakā' yuuñ ḳhush haiñ
zindagī meñ yahī ik kaam kiyā ho jaise
dil ki aawaz hai yun bang-e-dara ho jaise
is ki sunte hain yahi rah-numa ho jaise
mast aankhon pe jhuki paDti hai yun zulf-e-siyah
sar-e-mai-KHana dhuan-dhaar ghaTa ho jaise
hum ko dawa-e-anal-haq to nahin hai lekin
aisa lagta hai ye hum ne hi kaha ho jaise
jiye jate hain magar jine ka hasil kya hai
zindagi bhi kisi aashiq ki dua ho jaise
wasta jin ko KHuda se hai KHuda ko jaanen
apne but ka to ye aalam hai KHuda ho jaise
din-o-dil rehn-e-wafa kar ke 'zaka' yun KHush hain
zindagi mein yahi ek kaam kiya ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.