dil ki be-iKHtiyariyan na gain
dil kī be-iḳhtiyāriyāñ na ga.iiñ
na ga.iiñ aah o zāriyāñ na ga.iiñ
din ko chhūTā na intizār un kā
shab ko aḳhtar-shumāriyāñ na ga.iiñ
na chhupā girya-e-shab-e-furqat
ruḳh se ashkoñ kī dhāriyāñ na ga.iiñ
aa ga.e vo bhī vaade par lekin
aah kī shola-bāriyāñ na ga.iiñ
tañg aa kar vo chal diye ghar ko
jab mirī ashk-bāriyāñ na ga.iiñ
us ne ḳhat phaaḌ kar kahā ye 'rashīd'
terī mazmūñ-nigāriyāñ na ga.iiñ
dil ki be-iKHtiyariyan na gain
na gain aah o zariyan na gain
din ko chhuTa na intizar un ka
shab ko aKHtar-shumariyan na gain
na chhupa girya-e-shab-e-furqat
ruKH se ashkon ki dhaariyan na gain
aa gae wo bhi wade par lekin
aah ki shola-bariyan na gain
tang aa kar wo chal diye ghar ko
jab meri ashk-bariyan na gain
us ne KHat phaD kar kaha ye 'rashid'
teri mazmun-nigariyan na gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.