dil ki bechainiyon se KHatra hai
dil kī bechainiyoñ se ḳhatra hai
ġham kī parchhā.iyoñ se ḳhatra hai
jal rahe haiñ diye havāoñ meñ
aag ko pāniyoñ se ḳhatra hai
duur kar deñgī ek din tujh se
terī man-māniyoñ se ḳhatra hai
ranj-o-ālām saath rakhtā huuñ
ghar ko vīrāniyoñ se ḳhatra hai
is liye ās-pās huuñ tere
terī tanhā.iyoñ se ḳhatra hai
aarzū justujū tamanna talab
aisī bīmāriyoñ se ḳhatra hai
dil ko muTThī meñ qaid kar rakhiye
is ko āzadiyoñ se ḳhatra hai
dekh kar dil huā hai dīvāna
terī añgḌā.iyoñ se ḳhatra hai
dil lagāne kā sochtā huuñ magar
hashr-sāmāniyoñ se ḳhatra hai
dasht-o-sahrā haiñ ab Thikāna 'fahīm'
mujh ko ābādiyoñ se ḳhatra hai
dil ki bechainiyon se KHatra hai
gham ki parchhaiyon se KHatra hai
jal rahe hain diye hawaon mein
aag ko paniyon se KHatra hai
dur kar dengi ek din tujh se
teri man-maniyon se KHatra hai
ranj-o-alam sath rakhta hun
ghar ko viraniyon se KHatra hai
is liye aas-pas hun tere
teri tanhaiyon se KHatra hai
aarzu justuju tamanna talab
aisi bimariyon se KHatra hai
dil ko muTThi mein qaid kar rakhiye
is ko aazadiyon se KHatra hai
dekh kar dil hua hai diwana
teri angDaiyon se KHatra hai
dil lagane ka sochta hun magar
hashr-samaniyon se KHatra hai
dasht-o-sahra hain ab Thikana 'fahim'
mujh ko aabaadiyon se KHatra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.