dil ki chup ke samundar se uThta hua kya ajab shor hai
dil kī chup ke samundar se uThtā huā kyā 'ajab shor hai
kuchh sunā.ī nahīñ de rahā is qadar zer-e-lab shor hai
āsmāñ se musalsal Tapaktī huī chup ġhazab chup huī
āsmāñ kī taraf uThne vaale dhueñ kā ġhazab shor hai
apne apne kināre pe ham donoñ chup-chāp baiThe hue
biich meñ ik zamāne se bahtā huā be-sabab shor hai
is tarah shor yakjā hue āsmāñ aur zamīñ ke ki ab
shā'irī giit naġhme sukūt-o-sadā sab kā sab shor hai
kam nahīñ hai kisī taur shor-e-qayāmat se ye shor bhī
ai ḳhudā dāman-e-hijr se uTh rahā hai jo ab shor hai
dil ki chup ke samundar se uThta hua kya 'ajab shor hai
kuchh sunai nahin de raha is qadar zer-e-lab shor hai
aasman se musalsal Tapakti hui chup ghazab chup hui
aasman ki taraf uThne wale dhuen ka ghazab shor hai
apne apne kinare pe hum donon chup-chap baiThe hue
bich mein ek zamane se bahta hua be-sabab shor hai
is tarah shor yakja hue aasman aur zamin ke ki ab
sha'iri git naghme sukut-o-sada sab ka sab shor hai
kam nahin hai kisi taur shor-e-qayamat se ye shor bhi
ai KHuda daman-e-hijr se uTh raha hai jo ab shor hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.