dil ki dahliz pe dilbar aaya
dil kī dahlīz pe dilbar aayā
pyaas ke dar pe samundar aayā
chalte chalte tirī ḳhushbū aa.ī
maiñ ye samjhā ki tirā ghar aayā
dhuup meñ chhāñv numūdār huī
kaun āḳhir sar-e-mahshar aayā
asl meñ thī vo havā.ī aahaT
maiñ baḌī tezī se bāhar aayā
thiiñ ḳhatā.eñ to sarāsar dil kī
zad meñ aayā to mirā sar aayā
chhūT kar tujh se kahīñ jā na milī
lauT kar phir tire dar par aayā
us ko lauTā diye sab us ke ḳhutūt
haa.e nādān ye kyā kar aayā
yaar aayā ki na aayā 'atīb'
nāma-e-yār barābar aayā
dil ki dahliz pe dilbar aaya
pyas ke dar pe samundar aaya
chalte chalte teri KHushbu aai
main ye samjha ki tera ghar aaya
dhup mein chhanw numudar hui
kaun aaKHir sar-e-mahshar aaya
asl mein thi wo hawai aahaT
main baDi tezi se bahar aaya
thin KHataen to sarasar dil ki
zad mein aaya to mera sar aaya
chhuT kar tujh se kahin ja na mili
lauT kar phir tere dar par aaya
us ko lauTa diye sab us ke KHutut
hae nadan ye kya kar aaya
yar aaya ki na aaya 'atib'
nama-e-yar barabar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.