dil ki dhaDkan matami dhun sans ko zanjir kahna
dil kī dhaḌkan mātamī dhun saañs ko zanjīr kahnā
koī gar pūchhe to apne ahd kī tafsīr kahnā
har-qadam par bandishoñ pābandiyoñ kā zikr karnā
aur us ko hākimān-e-vaqt kī tahrīr kahnā
kab talak ma.asūm chehroñ ko sitam-pesha likhoge
aañkh ko ḳhanjar batānā zulf ko zanjīr kahnā
vo ghane ashjār vo saa.e to ruḳhsat ho chuke lab
dhuul ko mīrās likhnā ret ko jāgīr kahnā
ḳhāmushī kā gauhar-e-nāyāb rakhnā paas lekin
baat kahne kī agar ho tum bhī 'shāhid-mīr' kahnā
dil ki dhaDkan matami dhun sans ko zanjir kahna
koi gar puchhe to apne ahd ki tafsir kahna
har-qadam par bandishon pabandiyon ka zikr karna
aur us ko hakiman-e-waqt ki tahrir kahna
kab talak masum chehron ko sitam-pesha likhoge
aankh ko KHanjar batana zulf ko zanjir kahna
wo ghane ashjar wo sae to ruKHsat ho chuke lab
dhul ko miras likhna ret ko jagir kahna
KHamushi ka gauhar-e-nayab rakhna pas lekin
baat kahne ki agar ho tum bhi 'shahid-mir' kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.