dil ki diwar pe mehrab bana kar rakhta
dil kī dīvār pe mehrāb banā kar rakhtā
tujh ko āñkhoñ ke liye ḳhvāb banā kar rakhtā
rah ga.e tum to kisī ke liye jugnū ban kar
mujh ko milte to maiñ mahtāb banā kar rakhtā
mujh se laḌnā hī agar thā to qabīle meñ phir
ka.ī rustam ka.ī sohrāb banā kar rakhtā
aag paanī meñ lagānī hī nahīñ jab tum ko
ḳhud ko kab tak koī tālāb banā kar rakhtā
barf jamtī hī nahīñ jism kī dīvāroñ par
tū agar ḳhuun ko tezāb banā kar rakhtā
ḳhatm ho jaatā maza phir to use paḌhne kā
tū 'ibārat meñ jo e'rāb banā kar rakhtā
ḳhatm kar detā vajūd apnā mohabbat ke liye
ḳhud ko qatra tujhe sailāb banā kar rakhtā
sab haiñ talvār ye lakḌī kī magar ai 'dānish'
phir bhī kuchh dost kuchh ahbāb banā kar rakhtā
dil ki diwar pe mehrab bana kar rakhta
tujh ko aankhon ke liye KHwab bana kar rakhta
rah gae tum to kisi ke liye jugnu ban kar
mujh ko milte to main mahtab bana kar rakhta
mujh se laDna hi agar tha to qabile mein phir
kai rustam kai sohrab bana kar rakhta
aag pani mein lagani hi nahin jab tum ko
KHud ko kab tak koi talab bana kar rakhta
barf jamti hi nahin jism ki diwaron par
tu agar KHun ko tezab bana kar rakhta
KHatm ho jata maza phir to use paDhne ka
tu 'ibarat mein jo e'rab bana kar rakhta
KHatm kar deta wajud apna mohabbat ke liye
KHud ko qatra tujhe sailab bana kar rakhta
sab hain talwar ye lakDi ki magar ai 'danish'
phir bhi kuchh dost kuchh ahbab bana kar rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.