Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki ek ek kani bichhati hun

Janan Malik

dil ki ek ek kani bichhati hun

Janan Malik

MORE BYJanan Malik

    dil ek ik kanī bichhātī huuñ

    rāt-bhar raushnī bichhātī huuñ

    shāyad aaj aa.e vo mujhe milne

    sahn meñ chāñdnī bichhātī huuñ

    dekhiye Dūbtā huā sūraj

    baiThiye oḌhnī bichhātī huuñ

    oḌh letī huuñ hijr bistar par

    apnī ḳhasta-tanī bichhātī huuñ

    ḳhud to rahtī huuñ dhuup meñ 'jānāñ'

    us pe chhāñv ghanī bichhātī huuñ

    dil ki ek ek kani bichhati hun

    raat-bhar raushni bichhati hun

    shayad aaj aae wo mujhe milne

    sahn mein chandni bichhati hun

    dekhiye Dubta hua suraj

    baiThiye oDhni bichhati hun

    oDh leti hun hijr bistar par

    apni KHasta-tani bichhati hun

    KHud to rahti hun dhup mein 'jaanan'

    us pe chhanw ghani bichhati hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now