dil ki har aarzu nakaam hui jati hai
dil kī har aarzū nākām huī jaatī hai
zindagī dard kā paiġhām huī jaatī hai
kaise mumkin hai sazā pyaar kī mujh ko na mile
har safā.ī mirī ilzām huī jaatī hai
kis ne āñgan meñ khaḌe ho ke ye zulfeñ kholīñ
roz-e-raushan hai magar shaam huī jaatī hai
zikr aate hī tirā dekhte sab merī taraf
tū to ab merī hī hamnām huī jaatī hai
zindagī haath meñ thī zahr kā pyāla mere
tere hāthoñ meñ magar jaam huī jaatī hai
ham Dubā aa.e svayam apnī hī kashtī 'rāhī'
tū to bekār hī badnām huī jaatī hai
dil ki har aarzu nakaam hui jati hai
zindagi dard ka paigham hui jati hai
kaise mumkin hai saza pyar ki mujh ko na mile
har safai meri ilzam hui jati hai
kis ne aangan mein khaDe ho ke ye zulfen kholin
roz-e-raushan hai magar sham hui jati hai
zikr aate hi tera dekhte sab meri taraf
tu to ab meri hi hamnam hui jati hai
zindagi hath mein thi zahr ka pyala mere
tere hathon mein magar jam hui jati hai
hum Duba aae swayam apni hi kashti 'rahi'
tu to bekar hi badnam hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.