dil ki har baat nai chahta hai
dil kī har baat na.ī chāhtā hai
ya.anī tanhā-safarī chāhtā hai
jis ko manzil kī tamanna hī nahīñ
sirf be-rāh-ravī chāhtā hai
apne hamsā.e kī ḳhātir ye dil
ghar kī dīvār girī chāhtā hai
tang itnā huā āsā.ish se
phir se vo dar-badarī chāhtā hai
jis ke qabze meñ hai shohrat saarī
bas vahī apnī nafī chāhtā hai
be-ḳhudī kā hai ye aalam ki 'zafar'
zo.am iz.hār-e-ḳhudī chāhtā hai
dil ki har baat nai chahta hai
yani tanha-safari chahta hai
jis ko manzil ki tamanna hi nahin
sirf be-rah-rawi chahta hai
apne hamsae ki KHatir ye dil
ghar ki diwar giri chahta hai
tang itna hua aasaish se
phir se wo dar-badari chahta hai
jis ke qabze mein hai shohrat sari
bas wahi apni nafi chahta hai
be-KHudi ka hai ye aalam ki 'zafar'
zoam izhaar-e-KHudi chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.