dil ki is wahshat-sara mein dard kya jazbaat kya
dil kī is vahshat-sarā meñ dard kyā jazbāt kyā
ho zamīñ banjar agar to be-bahā barsāt kyā
khul gayā thā ik darīcha niiñd meñ ta.abīr kā
varna ai ḳhvāb-e-pareshāñ thī tirī auqāt kyā
nam hai kyoñ dāman sahar kā shiddat-e-ehsās se
mil ga.ī us ko bhī dard-e-ishq kī sauġhāt kyā
ātish-e-furqat chhupā.e sham.a kyoñ rotī rahī
vasl kī baazī meñ us ko ho rahī hai maat kyā
is chaman kī vahshatoñ meñ ho ga.ī shāmil sabā
pūchhtī hai phuul se ab rang kyā hai zaat kyā
siskiyoñ ke shādiyāne gūñjte haiñ kaan meñ
sahn-e-dil meñ dard kī utrī koī bārāt kyā
ghar rahā na tū rahā na dil rahā na āshiqī
zindagī sahtī rahegī nit-na.e sadmāt kyā
har taraf sargoshiyoñ kī sang-bārī al-amāñ
kar rahā hai ye zamāna phir hamārī baat kyā
sub.h kī bhīgī huī āñkhoñ meñ kaisā soz hai
ḳhāmushī oḌhe hue rotī rahī hai raat kyā
ham pe ye uqda khulā hai zindagī ko haar kar
koshish-e-tadbīr kyā hai gardish-e-hālāt kyā
ho gayā labrez kyūñkar kāsa-e-husn-e-suḳhan
kūcha-e-ġhālib se paa.ī sher kī ḳhairāt kyā
ho ke rusvā ishq ke bāzār-e-hasrat meñ 'shakīl'
'mīr' kī ḳhātir luTā dī izzat-e-sādāt kyā
dil ki is wahshat-sara mein dard kya jazbaat kya
ho zamin banjar agar to be-baha barsat kya
khul gaya tha ek daricha nind mein tabir ka
warna ai KHwab-e-pareshan thi teri auqat kya
nam hai kyon daman sahar ka shiddat-e-ehsas se
mil gai us ko bhi dard-e-ishq ki saughat kya
aatish-e-furqat chhupae shama kyon roti rahi
wasl ki bazi mein us ko ho rahi hai mat kya
is chaman ki wahshaton mein ho gai shamil saba
puchhti hai phul se ab rang kya hai zat kya
siskiyon ke shadiyane gunjte hain kan mein
sahn-e-dil mein dard ki utri koi baraat kya
ghar raha na tu raha na dil raha na aashiqi
zindagi sahti rahegi nit-nae sadmat kya
har taraf sargoshiyon ki sang-bari al-aman
kar raha hai ye zamana phir hamari baat kya
subh ki bhigi hui aankhon mein kaisa soz hai
KHamushi oDhe hue roti rahi hai raat kya
hum pe ye uqda khula hai zindagi ko haar kar
koshish-e-tadbir kya hai gardish-e-haalat kya
ho gaya labrez kyunkar kasa-e-husn-e-suKHan
kucha-e-ghaalib se pai sher ki KHairaat kya
ho ke ruswa ishq ke bazar-e-hasrat mein 'shakil'
'mir' ki KHatir luTa di izzat-e-sadat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.