dil ki kashti Dubo di gai hai yahan
dil kī kashtī Dubo dī ga.ī hai yahāñ
dhaḌkan ab shor kartī uThī hai yahāñ
dil kī bastī meñ vīrāniyāñ chhā ga.iiñ
dhund yādoñ kī barsoñ basī hai yahāñ
dhuup us samt kyoñ tez Thahrī rahī
shaam ke saa.e meñ to namī hai yahāñ
ḳhushk āñkhoñ se sapne churā.e ga.e
aur hathelī hinā se rachī hai yahāñ
duur se uḌ ke aa.e parinde na.e
shor meñ chahchahāhaT na.ī hai yahāñ
shaam ke baa'd ghar ye nayā ho gayā
vasl kī shab mukammal huī hai yahāñ
lau charāġhoñ kī 'nik.hat' zarā kam karo
ik na.ī raushnī aa rahī hai yahāñ
dil ki kashti Dubo di gai hai yahan
dhaDkan ab shor karti uThi hai yahan
dil ki basti mein viraniyan chha gain
dhund yaadon ki barson basi hai yahan
dhup us samt kyon tez Thahri rahi
sham ke sae mein to nami hai yahan
KHushk aankhon se sapne churae gae
aur hatheli hina se rachi hai yahan
dur se uD ke aae parinde nae
shor mein chahchahahaT nai hai yahan
sham ke ba'd ghar ye naya ho gaya
wasl ki shab mukammal hui hai yahan
lau charaghon ki 'nikhat' zara kam karo
ek nai raushni aa rahi hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.