dil ki KHatir KHud ko manzar rog lagana paD jata hai
dil kī ḳhātir ḳhud ko 'manzar' rog lagānā paḌ jaatā hai
ghar ke andar shor agar ho bāhar jaanā paḌ jaatā hai
niiñd se pahle jhilmil karte aa jaate haiñ ḳhvāb-e-mujassam
so jā.ūñ to jo bhī dekhūñ ḳhvāb bhulānā paḌ jaatā hai
shahr ke bārah darvāze haiñ ek jharokā hai ḳhushbū kā
sab par terā naam likhā hai ye samjhānā paḌ jaatā hai
pahle-pahal to zabt ke mausam kar jaate haiñ apnā saaya
baad meñ āñkhoñ hī āñkhoñ meñ haal sunānā paḌ jaatā hai
soch sako to itnā socho patthar lauT ke aa sakte haiñ
ek purānā qaul sahī lekin dohrānā paḌ jaatā hai
yāroñ kī fihrist bane to ḳhālī satreñ bhī rakh lenā
'manzar' dushman ko bhī ik din yaar banānā paḌ jaatā hai
dil ki KHatir KHud ko 'manzar' rog lagana paD jata hai
ghar ke andar shor agar ho bahar jaana paD jata hai
nind se pahle jhilmil karte aa jate hain KHwab-e-mujassam
so jaun to jo bhi dekhun KHwab bhulana paD jata hai
shahr ke barah darwaze hain ek jharoka hai KHushbu ka
sab par tera nam likha hai ye samjhana paD jata hai
pahle-pahal to zabt ke mausam kar jate hain apna saya
baad mein aankhon hi aankhon mein haal sunana paD jata hai
soch sako to itna socho patthar lauT ke aa sakte hain
ek purana qaul sahi lekin dohrana paD jata hai
yaron ki fihrist bane to KHali satren bhi rakh lena
'manzar' dushman ko bhi ek din yar banana paD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.