dil ki KHalish se chain na aae to kya karun
dil kī ḳhalish se chain na aa.e to kyā karūñ
bantī nahīñ hai baat banā.e to kyā karūñ
ishq-e-butāñ ko maiñ ne to samjhā thā dil-lagī
ye dil-lagī bhī dil ko jalā.e to kyā karūñ
maiñ jaam se piyūñ to gunahgār-e-mai-kashī
nazroñ se apnī koī pilā.e to kyā karūñ
maiñ ne hazār baar bhulāyā tumheñ magar
dil se tumhārī yaad na jaa.e to kyā karūñ
tujh sā dikhā.ūñ aur bhī koī tujhe magar
aa.ina bhī na sāmne aa.e to kyā karūñ
maanā ki bār-e-zīst kuchh aisā girāñ nahīñ
ye bhī magar uThāyā na jaa.e to kyā karūñ
har ik ḳhushī bhī hotī hai mujh ko payām-e-ġham
hañste hī hañste aañkh bhar aa.e to kyā karūñ
maiñ un se apnā qissa-e-ġham kah to duuñ magar
koī nazar hī ab na milā.e to kyā karūñ
jis ke liye jahān se begāna ho gayā
vo bhī na 'sehr' apnā batā.e to kyā karūñ
dil ki KHalish se chain na aae to kya karun
banti nahin hai baat banae to kya karun
ishq-e-butan ko main ne to samjha tha dil-lagi
ye dil-lagi bhi dil ko jalae to kya karun
main jam se piyun to gunahgar-e-mai-kashi
nazron se apni koi pilae to kya karun
main ne hazar bar bhulaya tumhein magar
dil se tumhaari yaad na jae to kya karun
tujh sa dikhaun aur bhi koi tujhe magar
aaina bhi na samne aae to kya karun
mana ki bar-e-zist kuchh aisa giran nahin
ye bhi magar uThaya na jae to kya karun
har ek KHushi bhi hoti hai mujh ko payam-e-gham
hanste hi hanste aankh bhar aae to kya karun
main un se apna qissa-e-gham kah to dun magar
koi nazar hi ab na milae to kya karun
jis ke liye jahan se begana ho gaya
wo bhi na 'sehr' apna batae to kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.