dil ki KHwahish baDhte baDhte tufan hoti jati hai
dil ki KHwahish baDhte baDhte tufan hoti jati hai
Ahmad Shahid Khan
MORE BYAhmad Shahid Khan
dil kī ḳhvāhish baḌhte baḌhte tūfāñ hotī jaatī hai
zar kī chāhat ab logoñ kā īmāñ hotī jaatī hai
pyaar mohabbat hamdardī ke rishte the insānoñ meñ
dil vāloñ ko ab ye duniyā zindāñ hotī jaatī hai
marghaT kā sā sannāTā hai ghar kūche bāzāroñ meñ
dil kī bastī rafta rafta vīrāñ hotī jaatī hai
insānoñ ke ḳhuuñ ke pyāse aur nahīñ ḳhud insāñ haiñ
aql bichārī dekh ke duniyā hairāñ hotī jaatī hai
jhūTe va.ade sunte sunte sapne chaknā-chūr hue
māyūsī be-zārī dil meñ mehmāñ hotī jaatī hai
dil ki KHwahish baDhte baDhte tufan hoti jati hai
zar ki chahat ab logon ka iman hoti jati hai
pyar mohabbat hamdardi ke rishte the insanon mein
dil walon ko ab ye duniya zindan hoti jati hai
marghaT ka sa sannaTa hai ghar kuche bazaron mein
dil ki basti rafta rafta viran hoti jati hai
insanon ke KHun ke pyase aur nahin KHud insan hain
aql bichaari dekh ke duniya hairan hoti jati hai
jhuTe wade sunte sunte sapne chakna-chur hue
mayusi be-zari dil mein mehman hoti jati hai
- Book : Salsabeel (Pg. 6)
- Author : Ahmed Shahid Khan
- Publication : Ahmed Shahid Khan, Dep. Electronics Enginering (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.