dil ki KHwahish hai ki main waqt ka nauha likkhun
dil ki KHwahish hai ki main waqt ka nauha likkhun
Shabana zaidi shabeen
MORE BYShabana zaidi shabeen
dil kī ḳhvāhish hai ki maiñ vaqt kā nauha likkhūñ
zindagī kyā hai faqat aag kā dariyā likkhūñ
yahāñ sāmān-e-nashāt-e-dil-o-jāñ koī nahīñ
ġham-e-daurāñ tirā kaisā maiñ sarāpā likkhūñ
yahāñ guftār meñ shīrīnī hai kirdār meñ khoT
kyā hai pastī kā sabab tū hī batā kyā likkhūñ
zahr-ālūd hai manzar ki fazā hai masmūm
haal kāġhaz pe maiñ kis kis kī atā kā likkhūñ
roz ik aur tamāsha nazar aatā hai 'shabīn'
roz ik aur badaltā huā chehra likkhūñ
dil ki KHwahish hai ki main waqt ka nauha likkhun
zindagi kya hai faqat aag ka dariya likkhun
yahan saman-e-nashat-e-dil-o-jaan koi nahin
gham-e-dauran tera kaisa main sarapa likkhun
yahan guftar mein shirini hai kirdar mein khoT
kya hai pasti ka sabab tu hi bata kya likkhun
zahr-alud hai manzar ki faza hai masmum
haal kaghaz pe main kis kis ki ata ka likkhun
roz ek aur tamasha nazar aata hai 'shabin'
roz ek aur badalta hua chehra likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.