dil ki mahfil mein kabhi ram nahin rakhte hum log
dil kī mahfil meñ kabhī ram nahīñ rakhte ham log
ya.anī laḌte hue sar ḳham nahīñ rakhte ham log
tum batā do tumheñ kis vaqt jagānā hogā
dil dhaḌaktā hai alaram nahīñ rakhte ham log
vahshat-e-abr banā detī hai thal ko dariyā
raag gaate haiñ to phir sam nahīñ rakhte ham log
surḳh joḌe kī qasam sabz muqaddar vaalī
ab kisī rang kā parcham nahīñ rakhte ham log
ab to har aañkh ke apne hī siyah halqe haiñ
ab tire naam pe mātam nahīñ rakhte ham log
dil ki mahfil mein kabhi ram nahin rakhte hum log
yani laDte hue sar KHam nahin rakhte hum log
tum bata do tumhein kis waqt jagana hoga
dil dhaDakta hai alaram nahin rakhte hum log
wahshat-e-abr bana deti hai thal ko dariya
rag gate hain to phir sam nahin rakhte hum log
surKH joDe ki qasam sabz muqaddar wali
ab kisi rang ka parcham nahin rakhte hum log
ab to har aankh ke apne hi siyah halqe hain
ab tere nam pe matam nahin rakhte hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.