dil ki qimat ghaT jati hai izhaar-e-jazbaat ke baad
dil kī qīmat ghaT jaatī hai iz.hār-e-jazbāt ke baad
suunā suunā ghar kā āñgan lagtā hai bārāt ke baad
sāñsoñ kī ik maalā thī jo be-ḳhabarī meñ TuuT ga.ī
aur bhalā kyā nazr karūñ maiñ dil jaisī sauġhāt ke baad
aur izāfa ho jaatā hai āñkhoñ kī vīrānī meñ
kaun sā mausam aa jaatā hai ashkoñ kī barsāt ke baad
mujh ko dekh ke hañsne vaalo kis ko ye daulat miltī hai
is manzil par maiñ pahūñchā huuñ jaane kin hālāt ke baad
kis kī yaad meñ uljhā uljhā aaheñ bhartā phirtā hai
kis kā naam liyā kartā hai dīvāna har baat ke baad
prem divāna terā 'vasī' ye pāgal ko samjhā.e kaun
is baazī meñ jiit huā kartī hai lekin maat ke baad
dil ki qimat ghaT jati hai izhaar-e-jazbaat ke baad
suna suna ghar ka aangan lagta hai baraat ke baad
sanson ki ek mala thi jo be-KHabari mein TuT gai
aur bhala kya nazr karun main dil jaisi saughat ke baad
aur izafa ho jata hai aankhon ki virani mein
kaun sa mausam aa jata hai ashkon ki barsat ke baad
mujh ko dekh ke hansne walo kis ko ye daulat milti hai
is manzil par main pahuncha hun jaane kin haalat ke baad
kis ki yaad mein uljha uljha aahen bharta phirta hai
kis ka nam liya karta hai diwana har baat ke baad
prem diwana tera 'wasi' ye pagal ko samjhae kaun
is bazi mein jit hua karti hai lekin mat ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.