dil ki shikastagi hai KHub dil ki shaguftagi na dekh
dil ki shikastagi hai KHub dil ki shaguftagi na dekh
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
dil kī shikastagī hai ḳhuub dil kī shaguftagī na dekh
hañste hue sarishk dekh rotī huī hañsī na dekh
husn kī sarḳhushī na dekh ishq kī ḳhastagī na dekh
bātin-e-dil pe kar nigāh sūrateñ zāhirī na dekh
puḳhta-o-jāvedāñ nahīñ tere nikhār kī bahār
dekh mirī nigāh meñ aa.ine meñ abhī na dekh
ishq kī azmatoñ ke saath sajde haiñ tere paañv par
zarf to hai mirā buland merī fatādgī na dekh
ārif-e-husn-e-zāt ko kyā hai ġharaz sifāt se
chāñd hai dekhne kī chiiz chāñd kī chāñdnī na dekh
jis kā hai tujh ko intizār hogā zarūr āshkār
ālam-e-be-ḳhudī meñ aa ā.ina-e-ḳhudī na dekh
dil ke shikasta saaz ke joḌ rahā huuñ taar maiñ
de mujhe fursat-e-nazar dil kī taraf abhī na dekh
daulat-e-ulfat-o-vafā mujh ko ḳhudā ne kī atā
dil hai mirā bharā bharā haath mire tahī na dekh
ismat-e-husn be-gumāñ terī nazar meñ hai nihāñ
jis se lagāv ho tujhe us kī taraf kabhī na dekh
'mauj' safīna-e-hayāt bahr-e-vafā meñ chhoḌ de
josh baḌhā huā na dekh lahr uThī huī na dekh
dil ki shikastagi hai KHub dil ki shaguftagi na dekh
hanste hue sarishk dekh roti hui hansi na dekh
husn ki sarKHushi na dekh ishq ki KHastagi na dekh
baatin-e-dil pe kar nigah suraten zahiri na dekh
puKHta-o-jawedan nahin tere nikhaar ki bahaar
dekh meri nigah mein aaine mein abhi na dekh
ishq ki azmaton ke sath sajde hain tere panw par
zarf to hai mera buland meri fatadgi na dekh
aarif-e-husn-e-zat ko kya hai gharaz sifat se
chand hai dekhne ki chiz chand ki chandni na dekh
jis ka hai tujh ko intizar hoga zarur aashkar
aalam-e-be-KHudi mein aa aaina-e-KHudi na dekh
dil ke shikasta saz ke joD raha hun tar main
de mujhe fursat-e-nazar dil ki taraf abhi na dekh
daulat-e-ulfat-o-wafa mujh ko KHuda ne ki ata
dil hai mera bhara bhara hath mere tahi na dekh
ismat-e-husn be-guman teri nazar mein hai nihan
jis se lagaw ho tujhe us ki taraf kabhi na dekh
'mauj' safina-e-hayat bahr-e-wafa mein chhoD de
josh baDha hua na dekh lahr uThi hui na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.