dil ki tasbih ke bikhre hue dane mange
dil kī tasbīh ke bikhre hue daane māñge
ham ne guzre hue anmol zamāne māñge
aap mā.il-ba-karam hoñ ye kahāñ is kā nasīb
dil to bas aap se kuchh ḳhvāb suhāne māñge
aah vo jis ko saḳhāvat kī nahīñ hai taufīq
us se ik shaḳhs vafāoñ ke ḳhazāne māñge
mujh pe pahlī sī nazar Daal ki merā dāman
tere gulshan se vahī phuul purāne māñge
maiñ vo nākām ki thoḌī sī hañsī ko tarsūñ
dil vo majbūr ki rone ke bahāne māñge
dil ki tasbih ke bikhre hue dane mange
hum ne guzre hue anmol zamane mange
aap mail-ba-karam hon ye kahan is ka nasib
dil to bas aap se kuchh KHwab suhane mange
aah wo jis ko saKHawat ki nahin hai taufiq
us se ek shaKHs wafaon ke KHazane mange
mujh pe pahli si nazar Dal ki mera daman
tere gulshan se wahi phul purane mange
main wo nakaam ki thoDi si hansi ko tarsun
dil wo majbur ki rone ke bahane mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.