dil ki turbat mein koi dard daba hai ab bhi
dil kī turbat meñ koī dard dabā hai ab bhī
aisā lagtā hai koī zaḳhm harā hai ab bhī
har sitāre ko tirā naam de ke kah dūñgā
merī duniyā kā faqat ek ḳhudā hai ab bhī
muntazir huuñ ki ye jiine kī amāvas guzre
raat ke siine meñ ik chāñd chhupā hai ab bhī
bin marāsim bhī na vo ġhair huā mujh se kabhī
maiñ kisī aur kā huuñ aur vo mirā hai ab bhī
apnā dushman hī banātā hai mohabbat kā junūn
sarfaroshī kī vahī ishq-adā hai ab bhī
ḳhauf ye hai ki judā.ī ke to dukhḌe haiñ hazār
shukr ye hai ki mohabbat meñ maza hai ab bhī
yaad kar kar ke tujhe ab bhī duā detā huuñ
bhūlne vaale tirī ye hī sazā hai ab bhī
zindagī jaañ de ke ik roz manā leñge tujhe
itnā taḌpā ke bhī gar mujh se ḳhafā hai ab bhī
rashk aatā hai mujhe rasm-e-vafā par 'ulfat'
bevafā honā yahāñ shart-e-vafā hai ab bhī
dil ki turbat mein koi dard daba hai ab bhi
aisa lagta hai koi zaKHm hara hai ab bhi
har sitare ko tera nam de ke kah dunga
meri duniya ka faqat ek KHuda hai ab bhi
muntazir hun ki ye jine ki amawas guzre
raat ke sine mein ek chand chhupa hai ab bhi
bin marasim bhi na wo ghair hua mujh se kabhi
main kisi aur ka hun aur wo mera hai ab bhi
apna dushman hi banata hai mohabbat ka junun
sarfaroshi ki wahi ishq-ada hai ab bhi
KHauf ye hai ki judai ke to dukhDe hain hazar
shukr ye hai ki mohabbat mein maza hai ab bhi
yaad kar kar ke tujhe ab bhi dua deta hun
bhulne wale teri ye hi saza hai ab bhi
zindagi jaan de ke ek roz mana lenge tujhe
itna taDpa ke bhi gar mujh se KHafa hai ab bhi
rashk aata hai mujhe rasm-e-wafa par 'ulfat'
bewafa hona yahan shart-e-wafa hai ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.