dil ki viraniyon mein hamein KHwahishen dekh Toka karen
dil kī vīrāniyoñ meñ hameñ ḳhvāhisheñ dekh Tokā kareñ
ham yatīmoñ ke Dar se Dareñ bin batā.e na jaayā kareñ
jism jhulsā.iye lab-ba-lab bujh na jaa.e kahīñ par talab
ham patange nahīñ jo jaleñ aag haiñ aap maanā kareñ
yuuñ bhī taklīf ghaTtī nahīñ so takalluf zarūrī nahīñ
aap aa.eñ na to sah bhī leñ pūchh kar to na aaya kareñ
ġham ḳhushī yā ġhalat aur sahī chhoḌiye baat dastūr kī
hādsoñ ke liye chhoḌ deñ ḳhud-kushī pe na royā kareñ
raqs to asl hai baa'd meñ yuuñ abhī se na aaheñ bhareñ
jab talak maut tayyār ho zindagī se guzārā kareñ
dil ki viraniyon mein hamein KHwahishen dekh Toka karen
hum yatimon ke Dar se Daren bin batae na jaya karen
jism jhulsaiye lab-ba-lab bujh na jae kahin par talab
hum patange nahin jo jalen aag hain aap mana karen
yun bhi taklif ghaTti nahin so takalluf zaruri nahin
aap aaen na to sah bhi len puchh kar to na aaya karen
gham KHushi ya ghalat aur sahi chhoDiye baat dastur ki
hadson ke liye chhoD den KHud-kushi pe na roya karen
raqs to asl hai ba'd mein yun abhi se na aahen bharen
jab talak maut tayyar ho zindagi se guzara karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.