dil ki ye aarzu hai sanam bolte raho
dil kī ye aarzū hai sanam bolte raho
tum ko hamāre sar kī qasam bolte raho
sunte raheñge dosto ham bolte raho
āñkheñ kabhī na hoñgī ye nam bolte raho
ḳhāmoshiyoñ ne janm diye haiñ na.e sitam
kab tak ye zulm aur sitam bolte raho
dil zinda hai to do koī us kā subūt bhī
ḳhāmosh kyoñ ho ahl-e-qalam bolte raho
haq-goī kī misāl hai mansūr anal-haq
parvāh nahīñ sar ho qalam bolte raho
'saifī' tire ash.ār pe tanqīd hai lāzim
taaki ho tirā tez qalam bolte raho
dil ki ye aarzu hai sanam bolte raho
tum ko hamare sar ki qasam bolte raho
sunte rahenge dosto hum bolte raho
aankhen kabhi na hongi ye nam bolte raho
KHamoshiyon ne janm diye hain nae sitam
kab tak ye zulm aur sitam bolte raho
dil zinda hai to do koi us ka subut bhi
KHamosh kyon ho ahl-e-qalam bolte raho
haq-goi ki misal hai mansur anal-haq
parwah nahin sar ho qalam bolte raho
'saifi' tere ashaar pe tanqid hai lazim
taki ho tera tez qalam bolte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.