dil ki zarurat lab tak lani paDti hai
dil kī zarūrat lab tak laanī paḌtī hai
lafzoñ se kyoñ baat banānī paḌtī hai
kabhī kabhī kahīñ aag bujhāne kī ḳhātir
na.ī jagah par aag lagānī paḌtī hai
zāhir karne ke liye ḳhufiya dushmanoñ ko
dostoñ meñ afvāh uḌānī paḌtī hai
phal nahīñ detī ḳhāmoshī ḳhāmoshī se
is ke liye āvāz uThānī paḌtī hai
pahle hañsī ḳhud aa jaatī thī hoñToñ tak
ab bahlā phuslā kar laanī paḌtī hai
sūraj sāhab kanjūsī karte haiñ jahāñ
vahāñ par apnī dhuup banānī paḌtī hai
achchhā saudā pahle ḳhud bik jaatā thā
lekin ab āvāz lagānī paḌtī hai
vīrāne mere dar par aa baiThte haiñ
jab bhī kam un kī vīrānī paḌtī hai
sochtā hai har roz bhulāne kā tujh ko
roz hī dil ko muñh kī khānī paḌtī hai
ishq meñ ḳhud ko maar ke yaar ke kūche meñ
apnī mayyat aap uThānī paḌtī hai
dasht-navardī ishq meñ khel hai bachchoñ kā
ham ko apnī gard uḌānī paḌtī hai
andhe shahr ko mutavajjah karne ke liye
dasht meñ jā kar dhuum machānī paḌtī hai
yahāñ kisī ko koī maqām nahīñ detā
apnī jagah 'armān' banānī paḌtī hai
dil ki zarurat lab tak lani paDti hai
lafzon se kyon baat banani paDti hai
kabhi kabhi kahin aag bujhane ki KHatir
nai jagah par aag lagani paDti hai
zahir karne ke liye KHufiya dushmanon ko
doston mein afwah uDani paDti hai
phal nahin deti KHamoshi KHamoshi se
is ke liye aawaz uThani paDti hai
pahle hansi KHud aa jati thi honTon tak
ab bahla phusla kar lani paDti hai
suraj sahab kanjusi karte hain jahan
wahan par apni dhup banani paDti hai
achchha sauda pahle KHud bik jata tha
lekin ab aawaz lagani paDti hai
virane mere dar par aa baiThte hain
jab bhi kam un ki virani paDti hai
sochta hai har roz bhulane ka tujh ko
roz hi dil ko munh ki khani paDti hai
ishq mein KHud ko mar ke yar ke kuche mein
apni mayyat aap uThani paDti hai
dasht-nawardi ishq mein khel hai bachchon ka
hum ko apni gard uDani paDti hai
andhe shahr ko mutawajjah karne ke liye
dasht mein ja kar dhum machani paDti hai
yahan kisi ko koi maqam nahin deta
apni jagah 'arman' banani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.