dil kis se muKHatib hai ki viran bahut hai
dil kis se muḳhātib hai ki vīrān bahut hai
shaidā hai ise dasht kā armān bahut hai
guzre to guzar jaa.e na guzre to qayāmat
dil vaqt kī is chaal pe hairān bahut hai
ik umr meñ ḳhud se mirī pahchān huī hai
jaatī huī umroñ ko ye pahchān bahut hai
is shahr meñ rahte haiñ binā ruuh ke paikar
is shahr meñ jī lene kā imkān bahut hai
dil haath se jā.egā ye jaañ bhī na rahegī
kar liije magar ishq meñ nuqsān bahut hai
shab saarī barastā hai ye chup rahtā hai din bhar
kuchh roz se mausam bhī pareshān bahut hai
tū jā nahīñ pā.egī ise chhoḌ ke 'mīrā'
is ghar meñ tire naam kā sāmān bahut hai
dil kis se muKHatib hai ki viran bahut hai
shaida hai ise dasht ka arman bahut hai
guzre to guzar jae na guzre to qayamat
dil waqt ki is chaal pe hairan bahut hai
ek umr mein KHud se meri pahchan hui hai
jati hui umron ko ye pahchan bahut hai
is shahr mein rahte hain bina ruh ke paikar
is shahr mein ji lene ka imkan bahut hai
dil hath se jaega ye jaan bhi na rahegi
kar lije magar ishq mein nuqsan bahut hai
shab sari barasta hai ye chup rahta hai din bhar
kuchh roz se mausam bhi pareshan bahut hai
tu ja nahin paegi ise chhoD ke 'mira'
is ghar mein tere nam ka saman bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.