dil kisi ke liye jaan kisi ke liye
dil kisī ke liye jaañ kisī ke liye
ye to achchhā nahīñ aap hī ke liye
kuchh kiyā kījiye zindagī ke liye
maut Taltī nahīñ hai kisī ke liye
aise mai-ḳhvār bhī haiñ jo mai ke evaz
ḳhūn-e-dil piite haiñ be-ḳhudī ke liye
har taraf zulmatoñ kī hai chhā.ī ghaTā
muztarib haiñ sabhī raushnī ke liye
kashmakash meñ mirī umr saarī kaTī
mil na paayā sukūñ do ghaḌī ke liye
sādgī valvala sidq soz-o-asar
lāzmī juzv haiñ shā.erī ke liye
gulshan-e-zīst 'aḳhtar' khile aur ke
maiñ tarastā rahā ik kalī ke liye
dil kisi ke liye jaan kisi ke liye
ye to achchha nahin aap hi ke liye
kuchh kiya kijiye zindagi ke liye
maut Talti nahin hai kisi ke liye
aise mai-KHwar bhi hain jo mai ke ewaz
KHun-e-dil pite hain be-KHudi ke liye
har taraf zulmaton ki hai chhai ghaTa
muztarib hain sabhi raushni ke liye
kashmakash mein meri umr sari kaTi
mil na paya sukun do ghaDi ke liye
sadgi walwala sidq soz-o-asar
lazmi juzw hain shaeri ke liye
gulshan-e-zist 'aKHtar' khile aur ke
main tarasta raha ek kali ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.