dil kisi se kahin laga rakhna
dil kisī se kahīñ lagā rakhnā
apne jiine kā mudda.ā rakhnā
ho na ho ghar meñ aa.ina lekin
apne dil meñ tū aa.ina rakhnā
kaam aa.egā vaqt ruḳhsat ke
ek aañsū kahīñ chhupā rakhnā
jab guzarnā qarībī rishtoñ meñ
kam sahī ek fāsla rakhnā
masjidoñ meñ bhī ho kahīñ mūrat
mandiroñ meñ kahīñ ḳhudā rakhnā
dil kisi se kahin laga rakhna
apne jine ka muddaa rakhna
ho na ho ghar mein aaina lekin
apne dil mein tu aaina rakhna
kaam aaega waqt ruKHsat ke
ek aansu kahin chhupa rakhna
jab guzarna qaribi rishton mein
kam sahi ek fasla rakhna
masjidon mein bhi ho kahin murat
mandiron mein kahin KHuda rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.