dil ko aahista jalaya kijiye
dil ko āhista jalāyā kījiye
muskurā kar zaḳhm khāyā kījiye
dostī se kyā nikhar pā.eñge aap
dushmanī ko āzmāyā kījiye
dil meñ rakhte haiñ jo har dam aap ko
un ko bhī dil meñ bulāyā kījiye
laaj tūfānoñ kī rakhne ke liye
sāhiloñ par Duub jaayā kījiye
āḳhirī lamhoñ kī ḳhātir hī sahī
sach kabhī to bol jaayā kījiye
rāsta jannat kā sīdhā sā hai 'prem'
paañv ab maañ ke dabāyā kījiye
dil ko aahista jalaya kijiye
muskura kar zaKHm khaya kijiye
dosti se kya nikhar paenge aap
dushmani ko aazmaya kijiye
dil mein rakhte hain jo har dam aap ko
un ko bhi dil mein bulaya kijiye
laj tufanon ki rakhne ke liye
sahilon par Dub jaya kijiye
aaKHiri lamhon ki KHatir hi sahi
sach kabhi to bol jaya kijiye
rasta jannat ka sidha sa hai 'prem'
panw ab man ke dabaya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.