dil ko aaina-war karte rahe
dil ko ā.īna-vār karte rahe
ham ḳhizāñ ko bahār karte rahe
aur karte bhī kyā mohabbat meñ
raat bhar intizār karte rahe
jis se koī ġharaz nahīñ ham ko
us pe ḳhud ko nisār karte rahe
ham to ye soch kar pashemāñ haiñ
kyoñ tirā e.atibār karte rahe
vo rahe mahv-e-ḳhvāb hijr kī shab
ham sitāre shumār karte rahe
sahn-e-gulshan meñ rut meñ phūloñ kī
intizār-e-bahār karte rahe
pyaar kyā hai junūn hai 'nīlam'
ham qabā tār-tār karte rahe
dil ko aaina-war karte rahe
hum KHizan ko bahaar karte rahe
aur karte bhi kya mohabbat mein
raat bhar intizar karte rahe
jis se koi gharaz nahin hum ko
us pe KHud ko nisar karte rahe
hum to ye soch kar pasheman hain
kyon tera eatibar karte rahe
wo rahe mahw-e-KHwab hijr ki shab
hum sitare shumar karte rahe
sahn-e-gulshan mein rut mein phulon ki
intizar-e-bahaar karte rahe
pyar kya hai junun hai 'nilam'
hum qaba tar-tar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.