dil ko ab hijr ke lamhat mein Dar lagta hai
dil ko ab hijr ke lamhāt meñ Dar lagtā hai
ghar akelā ho to phir raat meñ Dar lagtā hai
ek tasvīr se rahtā huuñ muḳhātab ghanToñ
jab bhī tanhā.ī ke hālāt meñ Dar lagtā hai
merī āñkhoñ se mire jhuuT ayaañ hote haiñ
is liye tujh se mulāqāt meñ Dar lagtā hai
lamha-e-qurb meñ lagtā hai bichhaḌ jā.eñge
haath jab bhī ho tire haath meñ Dar lagtā hai
āj-kal maiñ unheñ jaldī hī badal detā huuñ
āj-kal dil ke makānāt meñ Dar lagtā hai
jism kī aag ko bārish se havā miltī hai
saath meñ tū ho to barsāt meñ Dar lagtā hai
dil ko ab hijr ke lamhat mein Dar lagta hai
ghar akela ho to phir raat mein Dar lagta hai
ek taswir se rahta hun muKHatab ghanTon
jab bhi tanhai ke haalat mein Dar lagta hai
meri aankhon se mere jhuT ayan hote hain
is liye tujh se mulaqat mein Dar lagta hai
lamha-e-qurb mein lagta hai bichhaD jaenge
hath jab bhi ho tere hath mein Dar lagta hai
aaj-kal main unhen jaldi hi badal deta hun
aaj-kal dil ke makanat mein Dar lagta hai
jism ki aag ko barish se hawa milti hai
sath mein tu ho to barsat mein Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.