dil ko diwana kahunga to bura manoge
dil ko dīvāna kahūñgā to burā mānoge
apnā afsāna kahūñgā to burā mānoge
kah diyā sham.a tumheñ maiñ ne to kitne ḳhush ho
ḳhud ko parvāna kahūñgā to burā mānoge
tum ko kahtā huuñ maiñ apnā to burā mānte ho
aur begāna kahūñgā to burā mānoge
itne bad-zan ho ki gar ā.ina-ḳhāne ko bhī maiñ
ā.ina-ḳhāna kahūñgā to burā mānoge
dil ko kahtā huuñ maiñ gulshan to ḳhafā hote ho
dil ko vīrāna kahūñgā to burā mānoge
log kahte haiñ sanam-ḳhāna tumhāre ghar ko
maiñ sanam-ḳhāna kahūñgā to burā mānoge
dil meñ jo kuchh hai ishāroñ meñ kahe detā huuñ
be-hijābāna kahūñgā to burā mānoge
dil ko diwana kahunga to bura manoge
apna afsana kahunga to bura manoge
kah diya shama tumhein main ne to kitne KHush ho
KHud ko parwana kahunga to bura manoge
tum ko kahta hun main apna to bura mante ho
aur begana kahunga to bura manoge
itne bad-zan ho ki gar aaina-KHane ko bhi main
aaina-KHana kahunga to bura manoge
dil ko kahta hun main gulshan to KHafa hote ho
dil ko virana kahunga to bura manoge
log kahte hain sanam-KHana tumhaare ghar ko
main sanam-KHana kahunga to bura manoge
dil mein jo kuchh hai ishaaron mein kahe deta hun
be-hijabana kahunga to bura manoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.