dil ko dil se ek din aaKHir juda hona hi tha
dil ko dil se ek din āḳhir judā honā hī thā
hai gila kis baat kā un ko ḳhafā honā hī thā
kaun suntā hai yahāñ ḳhāmosh chīḳhoñ kī navā
merī aahoñ ko bhī yūñhī be-sadā honā hī thā
kyā muravvat thī ki saare shahr se uThtī ga.ī
ik tirā ye vasf logoñ meñ ravā honā hī thā
do ghaḌī ham ko milī hai do ghaḌī mohlat kī hai
zindagī kī qaid se āḳhir rihā honā hī thā
dekhtā huuñ jo kiyā tū ne 'adū ke saath bhī
ai nigāh-e-yār tujh se kuchh nayā honā hī thā
chhoḌ kar rāh-e-safar meñ vo to uTh kar chal diye
ek din us bevafā ko bevafā honā hī thā
zaḳhm khaa.e haiñ hamesha 'barham' apnī jaan par
kār-gāh-e-dahr meñ sab se burā honā hī thā
dil ko dil se ek din aaKHir juda hona hi tha
hai gila kis baat ka un ko KHafa hona hi tha
kaun sunta hai yahan KHamosh chiKHon ki nawa
meri aahon ko bhi yunhi be-sada hona hi tha
kya murawwat thi ki sare shahr se uThti gai
ek tera ye wasf logon mein rawa hona hi tha
do ghaDi hum ko mili hai do ghaDi mohlat ki hai
zindagi ki qaid se aaKHir riha hona hi tha
dekhta hun jo kiya tu ne 'adu ke sath bhi
ai nigah-e-yar tujh se kuchh naya hona hi tha
chhoD kar rah-e-safar mein wo to uTh kar chal diye
ek din us bewafa ko bewafa hona hi tha
zaKHm khae hain hamesha 'barham' apni jaan par
kar-gah-e-dahr mein sab se bura hona hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.