dil ko duniya-dari ka aasra nahin malum
dil ko duniyā-dārī kā aasrā nahīñ mā'lūm
kis taraf ko jaanā hai rāsta nahīñ mā'lūm
ham ne jān-o-dil de kar 'āshiqī ke raste par
ibtidā to kar dī hai intihā nahīñ mā'lūm
apnī apnī vahdat meñ is junūñ kī hālat meñ
kab talak raheñge ham mubtalā nahīñ mā'lūm
maiñ to chaltā jaatā huuñ jis taraf havā jaa.e
mujh ko apnī hī manzil bā-ḳhudā nahīñ mā'lūm
kis ko kaise choT aa.ī kis kā kaise dil TuuTā
kis ko kaisā pesh aayā hādisa nahīñ mā'lūm
reza reza dil hai par ab talak khaḌā huuñ maiñ
jaane kab bikhar jaa.e hausla nahīñ mā'lūm
ik taraf zamīñ huuñ maiñ ik taraf gagan ho tum
darmiyāñ kahānī kā mājrā nahīñ mā'lūm
aa.ine ke parde par 'aks apnā dikhtā hai
kaun is meñ khiltā hai gul-numā nahīñ mā'lūm
sāhiloñ ne jab chūmī merī ābla-pā.ī
dil ko yuuñ lagā jaise naqsh-e-pā nahīñ mā'lūm
dil ko duniya-dari ka aasra nahin ma'lum
kis taraf ko jaana hai rasta nahin ma'lum
hum ne jaan-o-dil de kar 'ashiqi ke raste par
ibtida to kar di hai intiha nahin ma'lum
apni apni wahdat mein is junun ki haalat mein
kab talak rahenge hum mubtala nahin ma'lum
main to chalta jata hun jis taraf hawa jae
mujh ko apni hi manzil ba-KHuda nahin ma'lum
kis ko kaise choT aai kis ka kaise dil TuTa
kis ko kaisa pesh aaya hadisa nahin ma'lum
reza reza dil hai par ab talak khaDa hun main
jaane kab bikhar jae hausla nahin ma'lum
ek taraf zamin hun main ek taraf gagan ho tum
darmiyan kahani ka majra nahin ma'lum
aaine ke parde par 'aks apna dikhta hai
kaun is mein khilta hai gul-numa nahin ma'lum
sahilon ne jab chumi meri aabla-pai
dil ko yun laga jaise naqsh-e-pa nahin ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.