dil ko gham-e-habib se bahla raha hun main
dil ko ġham-e-habīb se bahlā rahā huuñ maiñ
har ġham se be-niyāz huā jā rahā huuñ maiñ
ma.asūmiyat to dekhiye āġhāz-e-shauq kī
un kī navāzishoñ se bhī ghabrā rahā huuñ maiñ
har ġhuncha dil-girafta hai har gul hai sīna-chāk
shāyad bharī bahār ko yaad aa rahā huuñ maiñ
sar-garmī-e-talāsh-e-haqīqat na pūchhiye
manzil se be-niyāz chalā jā rahā huuñ maiñ
rangīnī-e-bahār nazar meñ samā.e kyā
us anjuman se uTh ke chalā aa rahā huuñ maiñ
duniyā mire ḳhulūs kā degī javāb kyā
dushman ke dard par bhī taḌaptā rahā huuñ maiñ
saaqī tire karam kī zarūrat nahīñ mujhe
dil meñ surūr-e-tishna-labī pā rahā huuñ maiñ
vo dil jo mere haal pe royā hai bārhā
us dil se intiqām liye jā rahā huuñ maiñ
kaaTe haiñ din qafas meñ asīrī ke yuuñ 'bahār'
yād-e-chaman meñ zamzama-ārā rahā huuñ maiñ
dil ko gham-e-habib se bahla raha hun main
har gham se be-niyaz hua ja raha hun main
masumiyat to dekhiye aaghaz-e-shauq ki
un ki nawazishon se bhi ghabra raha hun main
har ghuncha dil-girafta hai har gul hai sina-chaak
shayad bhari bahaar ko yaad aa raha hun main
sar-garmi-e-talash-e-haqiqat na puchhiye
manzil se be-niyaz chala ja raha hun main
rangini-e-bahaar nazar mein samae kya
us anjuman se uTh ke chala aa raha hun main
duniya mere KHulus ka degi jawab kya
dushman ke dard par bhi taDapta raha hun main
saqi tere karam ki zarurat nahin mujhe
dil mein surur-e-tishna-labi pa raha hun main
wo dil jo mere haal pe roya hai barha
us dil se intiqam liye ja raha hun main
kaTe hain din qafas mein asiri ke yun 'bahaar'
yaad-e-chaman mein zamzama-ara raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.