dil ko hai uski chah kya kariye
dil ko hai us kī chaah kyā kariye
ho gayā 'ishq aah kyā kariye
'ishq meñ aah aah kyā kariye
zindagī yuuñ tabāh kyā kariye
bā-vafā ho ki bevafā kuchh ho
gar na kariye nibāh kyā kariye
jo kisī kā huā na ho ab tak
us se ummīd aah kyā kariye
us pe hī jab nigāh Thahrī ho
phir kisī par nigāh kyā kariye
'ishq sā jab gunāh kar Daalā
aur koī gunāh kyā kariye
jis pe 'ālam' asar na ho kuchh bhī
dil meñ aise ke raah kyā kariye
dil ko hai us ki chah kya kariye
ho gaya 'ishq aah kya kariye
'ishq mein aah aah kya kariye
zindagi yun tabah kya kariye
ba-wafa ho ki bewafa kuchh ho
gar na kariye nibah kya kariye
jo kisi ka hua na ho ab tak
us se ummid aah kya kariye
us pe hi jab nigah Thahri ho
phir kisi par nigah kya kariye
'ishq sa jab gunah kar Dala
aur koi gunah kya kariye
jis pe 'alam' asar na ho kuchh bhi
dil mein aise ke rah kya kariye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.