Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko har gam pe dhaDke se lage rahte hain

Najeeb Ahmad

dil ko har gam pe dhaDke se lage rahte hain

Najeeb Ahmad

MORE BYNajeeb Ahmad

    dil ko har gaam pe dhaḌke se lage rahte haiñ

    tujh ko kho dene ke ḳhadshe se lage rahte haiñ

    sar to kaT jaate haiñ jismoñ se magar sadiyoñ tak

    ḳhaak par ḳhuun ke dhabbe se lage rahte haiñ

    jhaaḌ poñchh ek mire kaam nahīñ aa paa.ī

    dar-o-dīvār pe jaale se lage rahte haiñ

    pyaas uḌtī hai lab-e-hijr pe mānind-e-ġhubār

    vasl jhiil pe pahre se lage rahte haiñ

    dasht se shahr meñ tanhā.ī ke Dar le aa.e

    shahr meñ bhī yahī khaTke se lage rahte haiñ

    ḳhvāb jo dekhā nahīñ ham ne sar-e-ḳhvāb 'najīb'

    is ta.abīr ke dhaḌke se lage rahte haiñ

    dil ko har gam pe dhaDke se lage rahte hain

    tujh ko kho dene ke KHadshe se lage rahte hain

    sar to kaT jate hain jismon se magar sadiyon tak

    KHak par KHun ke dhabbe se lage rahte hain

    jhaD ponchh ek mere kaam nahin aa pai

    dar-o-diwar pe jale se lage rahte hain

    pyas uDti hai lab-e-hijr pe manind-e-ghubar

    wasl ki jhil pe pahre se lage rahte hain

    dasht se shahr mein tanhai ke Dar le aae

    shahr mein bhi yahi khaTke se lage rahte hain

    KHwab jo dekha nahin hum ne sar-e-KHwab 'najib'

    is ki tabir ke dhaDke se lage rahte hain

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 535)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
    • Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now