dil ko har haal mein masruf-e-dua rakkha hai
dil ko har haal meñ masrūf-e-duā rakkhā hai
maiñ ne ye jurm bhī apne pe ravā rakkhā hai
merī har saañs rasūloñ kī zabāñ hai jaise
maiñ ne har saañs meñ ik harf-e-vafā rakkhā hai
aap to garmī-e-hālāt se ghabrāte haiñ
ham ne sūraj ko bhī siine meñ chhupā rakkhā hai
āgahī garm-e-safar hai na.ī manzil kī taraf
chāñd kā zikr hī kyā chāñd meñ kyā rakkhā hai
ham ki hālāt kī tasvīr batāne vaale
ham ko hālāt ne tasvīr banā rakkhā hai
zindagī se kaho ab koī taqāza na kare
maiñ ne har ġham ko kaleje se lagā rakkhā hai
jis jagah qāfila-e-dard rukā thā 'ḳhusrav'
dard-mandoñ ne vahīñ shahr basā rakkhā hai
dil ko har haal mein masruf-e-dua rakkha hai
main ne ye jurm bhi apne pe rawa rakkha hai
meri har sans rasulon ki zaban hai jaise
main ne har sans mein ek harf-e-wafa rakkha hai
aap to garmi-e-haalat se ghabraate hain
hum ne suraj ko bhi sine mein chhupa rakkha hai
aagahi garm-e-safar hai nai manzil ki taraf
chand ka zikr hi kya chand mein kya rakkha hai
hum ki haalat ki taswir batane wale
hum ko haalat ne taswir bana rakkha hai
zindagi se kaho ab koi taqaza na kare
main ne har gham ko kaleje se laga rakkha hai
jis jagah qafila-e-dard ruka tha 'KHusraw'
dard-mandon ne wahin shahr basa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.