dil ko jis waqt KHayal saf-e-mizhgan hoga
dil ko jis waqt KHayal saf-e-mizhgan hoga
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
dil ko jis vaqt ḳhayāl saf-e-mizhgāñ hogā
pā-e-jāñ meñ ḳhalish-e-ḳhār-e-muġhīlāñ hogā
tālib-e-marg huuñ yaaro na karo chāra mirā
mujh pe ehsāñ jo na kījegā to ehsāñ hogā
vā.izā huur mile ḳhuld meñ to kyā hāsil
ham ko kab chain ba-juz sohbat-e-insāñ hogā
ba-ḳhudā hotā na hargiz kabhī ḳhvāhāñ terā
jāntā gar tū mirī jaan kā ḳhvāhāñ hogā
us mah-e-hind se ho tū na muqābil hargiz
munfa.il varna bahut ai mah-e-kan.āñ hogā
aur pairāye meñ mumkin nahīñ qudrat kā zuhūr
hai yaqīñ mujh ko ḳhudā sūrat-e-insāñ hogā
maktab-e-ġham meñ hai majnūñ se talammuz ham ko
ab bayābāñ kā sabaq jā-e-gulistāñ hogā
is qadar tang huuñ ho jā.ūñgā ḳhud kāfir maiñ
dil-e-kāfir jo kabhī merā musalmāñ hogā
vasl phir ho ki na ho dil kī tasallī ko mire
apne muñh se to zarā kah de ki haañ haañ hogā
baaġh meñ nāla-e-bulbul hī ḳhush aa.e shāyad
ḳhanda-e-gul se mizāj apnā pareshāñ hogā
mol ġham ham ne liyā ḳhud na karegā aisā
ba-ḳhudā gar koī nādān se nādāñ hogā
tishna-lab jis ke liye phirte haiñ sab ḳhizr-o-masīh
yaar terā hī dahan chashma-e-haivāñ hogā
is qadar jald jo ai ahd-shikan TuuT gayā
rishta-e-jān hamārā tirā paimāñ hogā
vā.izā ḳhuld meñ kyā vasl-e-butāñ bhī hogā
ham na jā.eñge jo vaañ bhī ġham-e-hijrāñ hogā
uns hai mādda-e-asl-o-sarisht-e-insāñ
ulfat insān se rakkhegā jo insāñ hogā
mujh ko fursat thī kahāñ rone kī rotā kyūñkar
mujh pe bāñdhā kisī dushman ne ye tūfāñ hogā
saiqal-e-ishq se ā.īna hai hālat merī
jo mire haal ko dekhegā vo hairāñ hogā
sun ke ash.ār tire bazm-e-suḳhan meñ ai 'sehr'
vo phaḌak jā.egā jo koī suḳhan-dāñ hogā
dil ko jis waqt KHayal saf-e-mizhgan hoga
pa-e-jaan mein KHalish-e-KHar-e-mughilan hoga
talib-e-marg hun yaro na karo chaara mera
mujh pe ehsan jo na kijega to ehsan hoga
waiza hur mile KHuld mein to kya hasil
hum ko kab chain ba-juz sohbat-e-insan hoga
ba-KHuda hota na hargiz kabhi KHwahan tera
jaanta gar tu meri jaan ka KHwahan hoga
us mah-e-hind se ho tu na muqabil hargiz
munfail warna bahut ai mah-e-kanan hoga
aur pairaye mein mumkin nahin qudrat ka zuhur
hai yaqin mujh ko KHuda surat-e-insan hoga
maktab-e-gham mein hai majnun se talammuz hum ko
ab bayaban ka sabaq ja-e-gulistan hoga
is qadar tang hun ho jaunga KHud kafir main
dil-e-kafir jo kabhi mera musalman hoga
wasl phir ho ki na ho dil ki tasalli ko mere
apne munh se to zara kah de ki han han hoga
bagh mein nala-e-bulbul hi KHush aae shayad
KHanda-e-gul se mizaj apna pareshan hoga
mol gham hum ne liya KHud na karega aisa
ba-KHuda gar koi nadan se nadan hoga
tishna-lab jis ke liye phirte hain sab KHizr-o-masih
yar tera hi dahan chashma-e-haiwan hoga
is qadar jald jo ai ahd-shikan TuT gaya
rishta-e-jaan hamara tera paiman hoga
waiza KHuld mein kya wasl-e-butan bhi hoga
hum na jaenge jo wan bhi gham-e-hijran hoga
uns hai madda-e-asl-o-sarisht-e-insan
ulfat insan se rakkhega jo insan hoga
mujh ko fursat thi kahan rone ki rota kyunkar
mujh pe bandha kisi dushman ne ye tufan hoga
saiqal-e-ishq se aaina hai haalat meri
jo mere haal ko dekhega wo hairan hoga
sun ke ashaar tere bazm-e-suKHan mein ai 'sehr'
wo phaDak jaega jo koi suKHan-dan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.