dil ko karun nisar ki warun jigar ko main
dil ko karun nisar ki warun jigar ko main
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
dil ko karūñ nisār ki vārūñ jigar ko maiñ
āñkhoñ meñ duuñ jagah tire tīr-e-nazar ko maiñ
māyūs ho ke baiTh rahūñ umr bhar ko maiñ
yuuñ tuul duuñ ab apne ġham-e-muḳhtasar ko maiñ
ab kyā sunā.ūñ qissa-e-dard-e-jigar ko maiñ
pahchāntā huuñ ḳhuub kisī kī nazar ko maiñ
siine do shām-e-hijr garebān-e-ārzū
dāmān-e-sabr chaak karūñgā sahar ko maiñ
huuñ husn-e-jāñ-sitāñ ke ishāre kā muntazir
tayyār huuñ ba-shauq adam ke safar ko maiñ
aatā hai yaad daur-e-mai-o-jām-e-mai-kada
gardish meñ dekhtā huuñ jo shams-o-qamar ko maiñ
ai jān-e-zār sabr kī koshish fuzūl hai
samjhā huā huuñ hukm-e-qazā-o-qadar ko maiñ
tāsīr hai zabāñ meñ na dil meñ ḳhulūs hai
paidā karūñ kahāñ se duā meñ asar ko maiñ
sau baar ho chukā hai qayāmat kā sāmnā
pahchāntā huuñ ḳhuub tirī rahguzar ko maiñ
TukḌe dil-o-jigar ke haiñ ā.īna-e-nigāh
bhūlā nahīñ huuñ terī ḳhadang-e-nazar ko maiñ
koshish ye hai ki jam.a karūñ ab havās-o-hosh
dāvat jo de chukā huuñ kisī kī nazar ko maiñ
tā-hashr dil ko dil se na milne diyā kabhī
'mas.ūd' kyā kahūñ falak-e-fitna-gar ko maiñ
dil ko karun nisar ki warun jigar ko main
aankhon mein dun jagah tere tir-e-nazar ko main
mayus ho ke baiTh rahun umr bhar ko main
yun tul dun ab apne gham-e-muKHtasar ko main
ab kya sunaun qissa-e-dard-e-jigar ko main
pahchanta hun KHub kisi ki nazar ko main
sine do sham-e-hijr gareban-e-arzu
daman-e-sabr chaak karunga sahar ko main
hun husn-e-jaan-sitan ke ishaare ka muntazir
tayyar hun ba-shauq adam ke safar ko main
aata hai yaad daur-e-mai-o-jam-e-mai-kada
gardish mein dekhta hun jo shams-o-qamar ko main
ai jaan-e-zar sabr ki koshish fuzul hai
samjha hua hun hukm-e-qaza-o-qadar ko main
tasir hai zaban mein na dil mein KHulus hai
paida karun kahan se dua mein asar ko main
sau bar ho chuka hai qayamat ka samna
pahchanta hun KHub teri rahguzar ko main
TukDe dil-o-jigar ke hain aaina-e-nigah
bhula nahin hun teri KHadang-e-nazar ko main
koshish ye hai ki jama karun ab hawas-o-hosh
dawat jo de chuka hun kisi ki nazar ko main
ta-hashr dil ko dil se na milne diya kabhi
'masud' kya kahun falak-e-fitna-gar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.