dil ko mayusi ke sae se uThaya jae
dil ko māyūsī ke saa.e se uThāyā jaa.e
toḌ kar ḳhud ko phir ik baar banāyā jaa.e
kal añdheroñ ne jahāñ raushnī ko qatl kiyā
na.e sūraj ko vahīñ jā ke ugāyā jaa.e
raakh nafrat kī havāoñ se jo kahtī hai suno
aag ko aag se hargiz na bujhāyā jaa.e
kaT chuke peḌoñ pe rone se kahīñ behtar hai
kuchh kiyā jaa.e ki paudoñ ko bachāyā jaa.e
mar ga.ī pyaas to barsī haiñ ghaTā.eñ jam kar
jashn-e-barsāt kahāñ jā ke manāyā jaa.e
dil ko mayusi ke sae se uThaya jae
toD kar KHud ko phir ek bar banaya jae
kal andheron ne jahan raushni ko qatl kiya
nae suraj ko wahin ja ke ugaya jae
rakh nafrat ki hawaon se jo kahti hai suno
aag ko aag se hargiz na bujhaya jae
kaT chuke peDon pe rone se kahin behtar hai
kuchh kiya jae ki paudon ko bachaya jae
mar gai pyas to barsi hain ghaTaen jam kar
jashn-e-barsat kahan ja ke manaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.