dil ko masruf-e-kar rahne do
dil ko masrūf-e-kār rahne do
hijr meñ be-qarār rahne do
hasrat-e-intizār rahne do
yūñhī lail-o-nahār rahne do
un kī yādoñ kā silsila hai abhī
mauj-e-bād-e-bahār rahne do
phuul khilne lage haiñ chāhat ke
mausam-e-ḳhush-gavār rahne do
ḳhvāb hogā kabhī haqīqat bhī
ḳhvāb ko barqarār rahne do
zard mausam bhī biit jā.egā
intizār-e-bahār rahne do
hausla hārne se kyā hāsil
dil ko ummīd-vār rahne do
ḳhūñ-chakāñ aur ḳhat bhī likhne haiñ
uñgliyoñ ko figār rahne do
dil ko masruf-e-kar rahne do
hijr mein be-qarar rahne do
hasrat-e-intizar rahne do
yunhi lail-o-nahaar rahne do
un ki yaadon ka silsila hai abhi
mauj-e-baad-e-bahaar rahne do
phul khilne lage hain chahat ke
mausam-e-KHush-gawar rahne do
KHwab hoga kabhi haqiqat bhi
KHwab ko barqarar rahne do
zard mausam bhi bit jaega
intizar-e-bahaar rahne do
hausla haarne se kya hasil
dil ko ummid-war rahne do
KHun-chakan aur KHat bhi likhne hain
ungliyon ko figar rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.