dil ko miTne ka nishan rahta hai
dil ko miTne kā nishāñ rahtā hai
aag bujhne pe dhuāñ rahtā hai
haañ salāmat raho rindo tum par
kuchh rifāqat kā gumāñ rahtā hai
sho'le yuuñ uThte haiñ gulzāroñ se
ki bahārāñ kā samāñ rahtā hai
āshiqī muhr-ba-lab rahtī hai
mudda.ī mahv-e-bayāñ rahtā hai
sab ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī kā shu.ūr
dil-e-insāñ pe girāñ rahtā hai
tujh pe maḳhfī hai jo mujh par guzrī
tū qarīb-e-rag-e-jāñ rahtā hai
tum kahāñ rahte ho 'ābid' mirī jaañ
dil to rahtā hai jahāñ rahtā hai
dil ko miTne ka nishan rahta hai
aag bujhne pe dhuan rahta hai
han salamat raho rindo tum par
kuchh rifaqat ka guman rahta hai
sho'le yun uThte hain gulzaron se
ki bahaaran ka saman rahta hai
aashiqi muhr-ba-lab rahti hai
muddai mahw-e-bayan rahta hai
sab KHudaon ki KHudai ka shuur
dil-e-insan pe giran rahta hai
tujh pe maKHfi hai jo mujh par guzri
tu qarib-e-rag-e-jaan rahta hai
tum kahan rahte ho 'abid' meri jaan
dil to rahta hai jahan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.