dil ko nahin hai ilm ki dhaDkan kidhar gai
dil ko nahīñ hai 'ilm ki dhaḌkan kidhar ga.ī
aise guzar rahī hai ki jaise guzar ga.ī
dikhtā nahīñ jo chāhe faqat us ko dekhnā
dikhtā hai jo kab us kī taraf hai nazar ga.ī
ab janvarī kī dhuup bhī lagtī hai june sī
sar se tire ḳhayāl kī chādar utar ga.ī
vo ḳhvāhish-e-visāl thī yā ḳhushk ret thī
jitnā sameTā us ko vo utnā bikhar ga.ī
lālach faqat gunāh hai jannat kā chāhe ho
ye baat sun ke ḳhvāhishoñ kī huur mar ga.ī
dil ko nahin hai 'ilm ki dhaDkan kidhar gai
aise guzar rahi hai ki jaise guzar gai
dikhta nahin jo chahe faqat us ko dekhna
dikhta hai jo kab us ki taraf hai nazar gai
ab janwari ki dhup bhi lagti hai june si
sar se tere KHayal ki chadar utar gai
wo KHwahish-e-visal thi ya KHushk ret thi
jitna sameTa us ko wo utna bikhar gai
lalach faqat gunah hai jannat ka chahe ho
ye baat sun ke KHwahishon ki hur mar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.