dil ko phir samjha-bujha kar aa gaya
dil ko phir samjhā-bujhā kar aa gayā
muñh uThāyā aur daftar aa gayā
jā rahā thā apne ghar achchhā-bhalā
rāste meñ aap kā ghar aa gayā
yaar is kambaḳht dil kā kyā karūñ
aa gayā ye phir kisī par aa gayā
aa gayā mujh ko bhī qismat par yaqīñ
chāñd ġhalatī se mire ghar aa gayā
dil ko phir samjha-bujha kar aa gaya
munh uThaya aur daftar aa gaya
ja raha tha apne ghar achchha-bhala
raste mein aap ka ghar aa gaya
yar is kambaKHt dil ka kya karun
aa gaya ye phir kisi par aa gaya
aa gaya mujh ko bhi qismat par yaqin
chand ghalati se mere ghar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.